Advertisement

Main Ad

Blog SEO | kya hai | kaise kare | simple method

Blog seo kaise kare

SEO kya hai

SEO yani search engine optimisation. Matlab kisibhi content ko search engine me search karvane ke liye optimise karvana.

 Observing Google search results for SEO 


Observe and react method 




Observe -


isse hi hume pata chal pata hai koi bhi ek particular topic ke liye log kya such rahe hai Or sath hi Google oos topic ke bare me kya bata raha hai. For example agar hum Google pe search karate hai digital marketing to app usme bahut kuch dekhenge – advertisement, images, video, articles, etc usmebhi agar aap observe karo to app paoge ki Google digital marketing me fist organic term Internet marketing dikhta hai iska matlab hota hai ki jo log digital marketing ke bareme search kar raha hai vo kahi na kahi Internet marketing ko digital marketing se similar samaj raha hai. To apne is prakar observe kar diya.


React -


 ab react ki batt karu to apko kya karna hai ki jo apne observe kiya use apne article me react kar ke likhna hai. Jaise isme apne dekha ki digital marketing or Internet marketing ko similar samja ja raha hai to hume oos similar term ke bareme me bhi batana hai Jaise digital marketing me hume Internet marketing ke bareme bhi batana hai.


Vedios -


 Ab second point pe ate hai to app dekhenge kuch videos. To yeh vedios kyo dikhte honge? Iska jawab hai ki google ko pata hai ki is topic ke bareme logo ko vedios dekhna pasand hai. To Yeh bahoot hi jaroori ho jata hai ki apke article me videos hona chahie. Yeh videos most of YouTube se ate hai or kuch articles se aate hai. To may be apke articles ke videos vaha dikh jae or Yeh dikhana itna bhi tough nahi hai kyoki kuch hi log hote hai jo apne article me videos dalte hai. Aise me app ke pas golden chance hai vedios ko rank karvane ka. Isi tarah apki image bhi Google rank kara sakti hai or aapke article me traffic aa sakti hai.


Books


Uske baad aap digital marketing related kai books bhi paenge. Meams google books ko bhi preference de raha hai. to yah bhi important ho jata hai ki apne digital marketing se related books ke bareme bataya hai ki nahi. Jisse google ko apka article pasand aa Jae or use ranking me la de.


People also ask for -


Next aap dekho ge “people also ask for” jisme Google aapko digital marketing related searches bataega matlab ki agar aap oon topics ke bareme likha hai or yeh heading apke blog me hai to apka blog search results ke taur par apka article pa sakte hai. Or apki blog traffic badh sakti hai.


Services locations - 


Next aap dekho ge “digital marketing services locations” to apko bhi apne article me yeh agencies ki locations deni hai jisse Google apke article ko informative samje or search optimize kar de.


News -


Next aap dekho ge “top stories” jisme news diya hota hai. To apko bhi apne article me yeh top stories sites ki links for more information karke deni hai jisse aap ka article or bhi jyada informative lage.


Questions and Answers -


Next aap dekho ge “QnA” jisme aap fresh questions paoge. jo logo ne apne doubts clear karne ke liye dale hote hai. Yeh one of the best tarika hai apni blog site pe traffic lane ka. isme apko niche diya gaya option par click kare “add your answer” or apko logo ke oon doubts ko clear karna hai. Badme apne article me oos questions ke bareme dip me likhke, us article ka link as answer put karke for more type karna hai. Jisse more information ke liye log apke article ko padhenge. Jisse apki site par regular visitors judte Chale jaenge or traffic badhegi.


People also search - 


Next aap dekho ge “people also search” Yeh vo words hai jise Google values de raha hai or yah bahut important ho jata hai ki apke article me Yeh topics cover kiya hua hai ki nahi. Jis se Google apko values dega or ye article ko rank karvane me madad karega.


Tables -


Next aap may be kuchh table delho. To friends Yeh necessary ho jata hai ki aap aise tables bana rahe ho ya nahi. Kyoki Yeh chije apke article ko professional banati hai. Jisse rank hone Ka chance ho Sakta hai.

Overall dosto apko try Yeh karna hai ki kaise hum Google 1st ranked articles se bhi better article bana Sakta hai or more informative bana sakte hai. Agar aap Inn batto Ka dhyan Ralhenge to jarroor aap grow karaoke or apke articles jarroor rank karenge.


Scope of blogging in 2021 -


Yeh to main bhi janta hu or apbhi jante hai ki ane vala time online pe bahoot kuch kar raha hoga or har koi online platform par development karna chahega jiske karan digital marketing Ka scope bahut badhega. Ab aap soch rahe honge ki me digital marketing ke bareme Kyo bata raha hu? Kyoki blogging or marketing ek dusre ke sath jude hue hai. Marketing karne ke liye online platform hona bahut jaroori hai. Or uske lie Google se better koi bhi platform nahi ho Sakta. To islie blogger ke lie 2021 golden sabit ho Sakta hai. Abhi 5G aane ke badd bhi kai log aise hai jo Internet use karna nahi jante hai. So Yeh Sab golden chances hai unhe blogs ke through guide karne Ka. Overall 2021 me blogging scope bahut jyada hone vala hai.


To dosto aaj humne dekha ki kaise hum Google search engine me (SEO) search engine optimisation karva sakte hai.


😕 Agar apka koi doubts hai to pls comment karke batae. 

👉  Share karna na bhule.


Disclaimer : is article me di gai video satish k videos YouTube channel ki video hai. 



Post a Comment

1 Comments